KOI APNA AJNABI

Mai train ki upar wali seat par apna kambal odhkar so raha tha sardi ke din the rat thi hawa dhire dhire karke andar aa rahi thi sardi se kabhi kabhi aankh bhi khul jati thi ......... achanak maine kuch suna palatkar niche dekha to ek ladki sardi se kaanp rahi thi uske pas ek choti bachhi bhi thi jo sayad usi ki thi uski umar yahi koi 20 saal ki rahi hogi ...dono sardi se kaanp rahi thi sayad ghar se bhag ayi thi dono .......... sab koi so raha tha waha lekin meri us se kuch puchne ki himmat nhi hui mere pas koi dusra kambal bhi nhi tha jo mai use de du maine use apna kambal dene k liye ishara kiya wo pahle 1 min chup rahi fir bachhi ko dekhkar kambal lene ko raji ho gayi....mai fir let gaya lekin neend jaise gayab si ho gayi thi mai kuch der leta raha fir baith gaya uski taraf dekhne laga..sayad usake pas jyada paise bhi nhi the ticket bhi nhi wo idhar udhar dekh rahi thi khi koi TC babu na jaye mai ye sab dekh raha tha...agle station me ek TC babu mil gaya uske pas ticket thi lekin general ki usne bataya bheed bahot thi to bachhi ko lekar mai nhi andare ja payi to reservation me aa gayi...TC babu bola tumko 350 rupay fine lagega..wo bechari rone wali thi lekin khud ko samhalkar boli mere pas to only 150 rupay hi h TC babu wo rupay lekar chala gaya ab bechari rone lagi meri kuch puchne ki himmat nhi ho rahi thi us se fir bhi maine bahot himmat karke us se puch hi lia...tum kaha ja rahi ho,,wo chup baithi rahi maine fir pucha kya hua kaha ja rahi ho tum uske muh se sirf itna nikal mujhe kuch rupay de do maine kuch socha fir kuch rupay dene ka nischay kiya....mai ghar se 700 rupay lekar gaya tha maine usko 200 diye...usne chup chap le liya aur roti rahi ....mai uth kar khada hua to wo boli mujhe apna address de do mai rupay bhej dugi tumhare maine kaha thik h tum liye raho mujhe nhi chahiye..usne fir kaha nhi apna address de do maine kuch sochte hue apna address usko de diya mai jakar fir apni seat par let gaya uske bad ek ajeeb sa sukoon mila aur pata nhi mai kab so gaya, subah kareeb 5 baje meri aankh khuli tab tak wo ja chuki thi, aisa laga maine kuch kho dia pata nhi kaun thi wo lekin uske jane k bad kuch ajeeb laga mujhe, mai apne college pahoch gaya waha bhi mai usko sochta raha,  college se fir ghar aa gaya time nikalta gaya ,
.
ek din achanak uska money order aya jisme usne mere rupay wapas kiye the aur apna dhanyawad diya tha...... last me likha tha
                                                                     
                                                                                                             koi apna ajnabi
   

Comments